Category: Hasrat Ghazals


End-In-Love
Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate
Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate

Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin
Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate
Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin
Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate
Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat
Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate
Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro
Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate
Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot
Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate
Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR
Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate
●─┼ HAFI ┼─●

Love-Is-Bliend
Dekha palat k usne k hasrat usey b thi
Hum jis par mit gaye they mohabbat usey b thi,
Chup ho gya tha dekh kar wo b idhar udhar
Dunya se meri tarha shikayat usey b thi,
Ye soch kar andhere galey se laga liye
Raaton ko jagne ki adat usey b thi,
Wo ro diya tha mujh ko pareshaan dekh kar
Us din hala’n k meri zarurat usey b thi,
Un pathron k sath nibhani pari usey Wasi
Jin se faqat mujhe nahi nafrat usey b thi.
●─┼ HAFI ┼─●