Category: Urdu Adab


Girl-Weeping-In-Love
Meri aankhon main Ansu aaye na hote,
Wo humein dekh kar muskuraye na hote,
Sochti hun aksar tanhai may main,
Meri zindagi main kash wo aaye na hote,
Na tarapte hum unke liye itna,
Dil ne khawab unke sajaye na hote,
Naa toot kar bikharti main is kadar,
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote….
●─┼ SABA RANI ┼─●

Kaisey-Andaz-e-Shouq-Mein
Kaisey Andaz-e-Shouq Mein Keh DiYa Tum Ne Alvida,
Jaisey Sadiyon Se Tere Dil Pe Koi Bojh Thy Hum…
●─┼ SABA RANI ┼─●

Kash-Kisi-Udaas-Mosam-Mein
Kash Kisi Udaas Mosam Mein

Meri Ankho Pe Wo Hath Rakh De Apnay


Aur


Hanstay Howay Keh De Boojh Lo 

TU Hum Tumhary Na Boojho Tu Tum Hamary.



●─┼ HAFI ┼─●

Mein-Lot-Jaun-Ga-Wapis
Mein Lot Jaun Ga Wapis Apni Dunya Mein

Faraz


Wo Shakhs Mujh Say Bicharnay Ka Faisla To Kary.

●─┼ SABA RANI ┼─●

Na-uss-ne-murr-k-dekha
Na uss ne murr k dekha , na hum ne palat kar awaz di..

Aik ajab si jhijak thi jis ne dono ko pathar bana dia..


●─┼ HAFI ┼─●

Qabool-e-jurm-krty-hain
Qabool-e-jurm krty hain Tumhary Qadmoo’n main gir kar

Saza-e-Mout hai Manzoor mgr Muhabbat Ab nahi karni.


●─┼ SABA RANI ┼─●

Girl-In-Sad-Mood
Abhi To Chand Lafzon Main Samaita Hai Tujhe Main Ne,

Abhi To Meri Kitabon Main Teri Tafseer Baaqi Hai…!♥



●─┼ HAFI ┼─●

Manzilain-un-ko-mila-karti-hain
Manzilain un ko mila karti hain jin ka shaiva ho fareeb
Hum ne tu daastan-e-sadaqat main lutta di zindagi apni.
●─┼ HAFI ┼─●

Ek-shakhs-ko-dekha-tha
Ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum nay
Ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum nay,

Ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hum nay
Wo shakhs qyamat tha kia karyn os ki batian,

Din os k liyay paida or os ki he thi ratain
Kab milta kisi sy tha hm sy thin mulakatin,

Rung os ka shahabi tha zulfoon may thin mayhkaryn
Ankhayn thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn,

Dushman b ager daykhen tu jaan sy dil haryn
Kuch tm sy wo milta tha batoon may shbaahat thi,

Han tm sa he lagta tha shokhi may sharart may
Lagta b tum he sa tha dastour e muhabat may,

Wo shakhs hmy ek din apno ki tarha bohla
Taroon ki tarha doba pholoon ki tarha tota,

Phir hath na aya wo hm ny boht dohnda
Tm kis liyay chonky ho kab zikar tmhara hay,

Kab tm sy takaza hy kab tm sy shikayat hay
Ek taza hikayat hy soun loo tu inayaat hay,

Ek shakhs ko daykha tha taron ki tarha hum nay
Ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hum nay
Ek taza hikayat hy soun loo tu inayat hy.

●─┼ HAFI ┼─●

Aatish-e-qalb-bhujaney-say
Barish-e-sang-e-malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par, tujh say door rahey,
Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey,
Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey,
Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey,
Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey,
Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey,
Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
Es dil kay hathon bohat majboor rahey.
●─┼ HAFI ┼─●